Status-Quo is bad for countries but not for behaviour
mai aur mai ke bich ki kahani
Aakhir mein kyun hoon uske pichche,
jise mujhse vaastaan tak nahi hain.
Aur jinhe hain mujhse, bhala kyun,
Unn tak jaane ka raasta tak nahi hain.
Vo insaan jo har pal tumhare sath chalne ki baat karta,
Aaj jeevan mein kuch naya kya aaya, vo apni raah badalta.
Kayi baar jinke alava tumhe koi dikhta tak nahi hain,
vo bhi behti hui hawa ki tarah badal jaate hain,
Jinko paane mein tumne apni puri takat lagayi,
vo ab kisi aur ko manane mein din bitate hain.
Jinse tumne kabhi kuch nahi chhupaya aur jinko khush karne mein apne aap ko immature banaya,
aakhir mein phir pta chala ki ye bhi har uss insaan ki tarah hai....jo aaye aur chale gaye....
Jeevan mein kuch naya kya aaya, waah yaara tumne toh apni raahein hi modh di
Par koi baat nahi, maangne se kuch nahi milta ab maine bhi umeed lagani chod di.
Yaara pta hain kal asmaan mai tut'ta ek taara dekha,
bilkul mere jaisa tha....
Chand ko koi fark hi nahi pada,
bilkul tere jaisa tha...
- Tanu ki kalam se...
Comments
Post a Comment